Search

Agr ap chaho tou usy mera kr do....

Maula-e-karim ap ne aik chehra esa bna dia hay k takty takty sham ho gai mgr un ankhon ki jagmag se hamari shab e tanha jhilmil krti rahi,hamen tou maloom b na tha k ye roshni kesi hay,

ye larkharahat ye madhoshi kesi hy. Maykady na b hoty tou ye ankhen hoti , madhoshi k sagar liye dilun ko madhosh kiye. Sitary na b hoty tou ye ankhen hoti timtamati hui, jhilmalati hui, yun lagta hay k ye chehra kisi kehkashan ka chand tha jo rat ho k hamary dil ki dunia me taluh ho k jagmagany laga.us kehkashan k rehny waly aj b apny chand k muntazir hun gay, bechain hun gay, pur nam hun gay. Jo in labon ko dekhta hun tou sochta hun inhe kya kahun?kuch kahun ga tou gulab sun len gay, hazarun sokhay zard paty apni ankhon me saji tar-o-tazgi-o-shadabiyun k adhory khawab bun len gay, in zulfun ki siyahi se rat k joban dekho k kisi nakhlistan me agr ye bikhar jayen tou karri dhop me sham saj jaye, Log kaha karty hain pyar ka aik soda gar in zulfun se safoon ka resham chura le gya, ye jo palkon ki chilman hay in k pechy jo ankhen hay un ankhon me jo sapny hain, Maula-e-karim un sapno ko malmal kar dey. Es chehry se jo dil wabasta hay us dil ki har arzo ko mukamal kar dey. Maula-e-karim ap ne aik chehra esa bna dia jo hamari ankhon ko khawab sa laga aur shayed abi tak wo kahwab hamary deed-a-fana me hay. Shayed abi tak dil hamara magan es dua me hay, ik umar b deedar ko kafi nahi, Maula-e-karim agr ap chaho tou esy mera kar do, khud ko dekhta hun jab un marmari ankhon me tou ahsas hota hay mere pas aina nahi shayed mera koi sehra nahi, Maula-e-karim ap ne aik chehra esa bna dia agr ap chaho tou esy mera kar do k wo aina sa lagta hay k wo apna sa lagta hay ik arman sa jagta hay k agr ap chaho tou esy mera kar do mery maula, Maula-e-karim ap ne aik chehra esa bna dia hay k takty takty sham ho gai...

No comments:

Powered by Blogger.